
tumhaare baayeen taraf chalna ho ya
khaanaa theek se khaanaa ho
tumhaare saaye mein ghar pohochun ya
paas tumhaare aanaa ho
ek tumhaaraa hi haq hai mujh par...
kabhi jatlaao na!
ek nigaah se dar jaaun main,
aisaa kitni baar huaa hai.
bachon jaisi ban jaaun main,
aisaa kitni baar huaa hai.
har ishaare par tumhaare,
mujhe naachanaa gaanaa ho.
tumhaare saaye mein ghar pohochun ya,
paas tumhaare aanaa ho.
ek tumhaaraa hi haq hai mujh par........
kabhi jatlaao na!
daayaan haath pakad ke mera,
paas apne bithaa lo na.
ya phir baayaan haath thaam ke,
saath apne chalaa lo na.
tumhaaraa mujhe sabhlanaa ho ya,
meraa ladkhadaanaa ho.
tumhaare saaye mein ghar pohochun ya,
paas tumhaare aanaa ho.
ek tumhaaraa hi haq hai mujh par.......
kabhi jatlaao na!
ek haq mujhse aur bhi le lo!
jab zaraa si palakein meri,
chamkeeli si lagne lagein.
aur baatein meri saari hi,
atpati si lagne lagein.
poochhne par tumhaare gar mein,
ekdum se chup ho jaaun.
aur phir paas se main tumhaare,
uth kar kahi chalii jaaun.
keench ke daaman mera tum phir ,
zor se gale lagaa lenaa.
ro bhi padungi main phir uss din,
aur tum chup karaa denaa.
dil ki baat bataanaa ho ya,
majboori samjhaanaa ho.
tumhaare saaye mein ghar pohochun ya,
paas tumhaare aanaa ho.
ek tumhaaraa hi haq hai mujh par...........
kabhi jatlaao na!
Loading ...
